About Us

Hamarikhani.com par khush-amdeed!

Humara manna hai ke har insaan ki zindagi ek dastan hai, aur har dastan kahe janay ke layak hai. Hamari Khani sirf ek website nahi, balkay urdu adab aur kahaniyon se mohabbat karne walon ka ek chhota sa ghar hai.

Humara Maqsad (Our Mission)

Humara maqsad social media aur naye likhariyon (writers) ko ek aisa platform muhayya karna hai jahan un ke alfaaz ko pehchan milay. Hum chahtay hain ke behtareen aur miyari novels, afsanay, aur sabaq-amoz kahaniyan har parhnay walay tak muft aur ba-asani pohanch sakein.

Hum Kya Paish Kartay Hain?

Hamari website par aapko har tarah ke novels ka ek wasee zakheera milega, jin mein shamil hain:

  • Romantic & Social Novels: Zindagi aur mohabbat ke mukhtalif rang.

  • Army Based & Action: Jazba-e-hub-ul-watni aur mardana kirdaron ki kahaniyan.

  • Episodic & Complete Novels: Aapki pasand ke mutabiq qist-war ya mukammal dastanain.

  • Islamic & Moral Stories: Deen aur ikhlaqiyat se bharpoor kirdar.

Hamarikhani.com Kyun?

Aaj ke digital daur mein kitabon se door hotay logon ko dobara “Lafzon ki Dunya” mein wapas lana hamari tarjih hai. Hum koshish kartay hain ke hamara content vulgarity se pak aur miyari ho, taake har umar ka fard isay sukoon se parh sakay.

Likhariyon ke Liye (For Writers)

Agar aap ek likhari hain aur apni kahani dunya tak pohanchana chahtay hain, to Hamarikhani.com aapke liye hazir hai. Hum naye talent ko promote karne aur unhein ek behtareen digital pehchan dene mein yaqeen rakhtay hain.

Hamarikhani.com – Kyunke har dil ki apni ek kahani hoti hai.